Haajiyon Aao Shahenshah ka Roza Dekho Naat Lyrics

Hajiyo Aao Shahenshah ka Roza Dekho
Kaba to dekh chuke Kabe ka Kaba dekhoRukn e Shami se miti wah’shate shame ghurbat
Ab Madine ko chalo subhe dil aaraa dekhoAabe Zam-Zam to piyaa khub bujha-e piyase
Aao jude Shahe Kowsar ka bi darya dekhoZayre Mizaab mile khoob Karamke cheente
Abre Rahmat ka yaha zowr barasnaa dekho

Dhum dekhi hai dare kaba pe betaabo ki
unke mushtako me hasrat ka tadapna dekhomisle parwana phiri karte the jis sham’a ke gird
apni us sham’a ko parwana yaha ka dekhoKhub ankho se lagaya he Gilaafe Kaba
Qasre Mahbub ke parde ka bhi jalwa dekho

Wan mutiyo ka jigar khauf se pani paya
yan siyahkaro ka daman pe machalna dekho

Awwali khana e haq ki to ziyaye dekhi
aakhri bait e nabi ka bhi tajalla dekho

aymane tur ka tha rukne yamani me farog
shola e tur yaha anjuman-ara dekho

mehre madar ka maza deti hai aagosh e hateem
jin pe maa bap fida yan karam unka dekho

Arz E Haajat Me Raha Ka’aba Kafeel E Injaah
Aao Ab Dad-Rasi E Shahe Taibah Dekho

Dho chuka zulmate dil bosa-e Sunge Aswad
Khaak bosi-e-Madina ka bhi Rutba dekho

Kar chuki rif’ate kaba pe nazar par-vaze
topi ab tham ke khaq e dar e wala dekho

be-niyazi se waha kapti payi ta’at
joshe rehmat pe yaha naz gunah ka dekho

Juma E Makka Tha Ird Ahle Ibadat Ke Liye
Mujrimo! Aao Yaha Ird E Doshamba Dekho

Multazim se to gale lag ke nikale armaan
adab o shouq ka yaha baham ulajhna dekho

Khoob mas’a me b-ummide safa daud liye
rahe janan ki safaka bhi tamasha dekho

Raqs E Bismil Ki Bahare To Mina Me Dekhi
Dil E Khu-Naba Fisha Ka Bhi Tadapna DekhoZinate Kaba me tha lakh arooso ka banaw
Jalwa farma yaha kownain ka doolha dekhoGowr se sun to Raza Kaaba se aati he sadaa
Meri ankho se mere Piyare ka Roza dekho


Related Content

  1. Na Kahin Se Door Hein Manzilen  Naat Lyrics
  2. Madine Ke Zaa-ir Salaam Unse Kehna  Naat Lyrics
  3. Arsh Ka Dulha Aaya Hai
  4. Kyunkar Na Merey Dil Main Hu Ulfat Rasool Ki
  5. Madina Madina Hamara Madina Naat Lyrics
  6. Aseeron Ke Mushkil Kusha Ghous e Azam
  7. Aaqa Ka Milad Aaya
  8. Mubarak Tujhay Ho Arz-e-Madina
  9. Aankhen purnoor karu dekh ke chehra unka
  10. Aaj Milad e Nabi Hai
  11. Ahlan Wa Sahlan Marhaba Lyrics
  12. Sunehri Jalion Ko Ab Nazar Aane Ka Muqam Do  Naat Lyrics
  13. Aisa Bhi Ho Ya Syed-e-Abrar Kissi Din
  14. BALAGHAL ULA BE KAMALEHI SALLU ALAIHE WALEHI
  15. Rabbana Ya Rabbana  Naat Lyrics
  16. Nazar Ko Bax Do Aisa Asar GARIB NAWAZ  Naat Lyrics
  17. Haleema Mein Terey Muqadran Ton Sadqay
  18. BAN KE NOOR E KHUDA MUSTAFA AGAYE
  19. Khusravi Achi Lagi Na Sarwari Achi Lagi  Naat Lyrics
  20. Arsh Ki Aql Dang Hai Charkh Pe Asmaan Hai  Naat Lyrics

Leave a comment