Ali Haidar ka gharana

Ali Maula Ali Maula

Mankuntu Maula Ali Ali
Aqa ne bola Ali Ali
Mein jis ka maula Ali Ali
Hai us ka Maula Ali Ali
Zahra ka shohar Ali Ali
Hasanain ka baba Ali Ali
Ham sab ne pukara Ali Ali
Ali Maula

Bada maheboob gharana
Ali Haidar ka gharana
Gulam inka hai zamana


Kiya sab kaam usi ki
Riza mein raazi reh kar
Khuda ke deen ki khatir
Hazaron sadmein seh kar
Kare har dam shukrana
Ali Haidar ka gharana
Bada maheboob gharana
Ali Haidar ka gharana

Kayadat hoke imamat
Wilayat hoke taharat
Sharafat hoke sadakat
Sakhawat hoke shuja’at
Har ek azmat ka thikana
Ali Haidar ka gharana
Bada maheboob gharana
Ali Haidar ka gharana

Pukara jab mushkil mein
Unhone ki lajpali
Sabhi mangaton ki pal mein
Bhari hai jholi khali
Jhuka jis dar pe zamana
Ali Haidar ka gharana
Bada maheboob gharana
Ali Haidar ka gharana

Mankuntu Maula Ali Ali
Aqa ne bola Ali Ali
Mein jis ka maula Ali Ali
Hai us ka Maula Ali Ali
Zahra ka shohar Ali Ali
Hasanain ka baba Ali Ali
Ham sab ne pukara Ali Ali
Ali Maula

Bada maheboob gharana
Ali Haidar ka gharana

Kadi mimbar te khad ke
Kadi medaan te lad ke
Kadi neze te chad ke
Kadi khutbe pad pad ke
Sikhave deen bachana
Ali Haidar ka gharana
Bada maheboob gharana
Ali Haidar ka gharana

Edha Hajweri gadagar
Te gauso khwaja naukar
Lewe Attar salami
Te sad sha’baz kalandar
Hai badeya sab dha thikana
Ali Haidar ka gharana
Bada maheboob gharana
Ali Haidar ka gharana

Mein puchhya teri jag te
Hai tokeer wadhai
Te Mohseen kaun hai tera
Sada islam dhi aayi
Mendha Mohseen hai purana
Ali Haidar ka gharana
Bada maheboob gharana
Ali Haidar ka gharana



Related Content

  1. Ni Mitiyye Madeene Diye
  2. Ek Ghuzarish  Naat Lyrics
  3. ShaheMadina Naat Lyrics
  4. Konain De Wali Da Darbar Bara Sohna  Naat Lyrics
  5. Bigri Bhe Banain Ge Jalwy Bhe Dekhain Ge  Naat Lyrics
  6. OWAISION MEIN BAITH JA BILALIYON MEIN BAITH JA
  7. Sar Bulandi Ki Rawayat Sir Katanay Say Chali  Naat Lyrics
  8. La ilaha illa Ho- La ilaha illa Ho Lyrics
  9. YA TAIBA YA TAIBA
  10. Aa Gaye Aa Gaye Mustafa Aa Gaye
  11. Aey Ishq E Nabi Mere Dil Main Bhi Samaa Jaana (Naat Lyrics)
  12. sallay-ala-pukaro-sarkar-arahe-hain
  13. Rehmat Baras Rehi Hai
  14. Kuch Aisa Kar De Mere Kirdgaar Aankho Me  Naat Lyrics
  15. Mujdawa Hai Asiyo Shaf-e-Shah-e-Abrar Hai (Naat Lyrics)
  16. Aisa Tujhe Khaaliq Ne Tarahdaar Banaya
  17. Jo Guzar Nasib Ho Aey Saba Kisi Din Diyaare Hijaaz Mein
  18. Ae Saba Mustafa Se Kah Dena Gam Ke Mare Salam Kahte Hain Naat Lyrics
  19. Nabi Nabi Nabi Nabi  Naat Lyrics
  20. Kya Jane Duniya Wale Rutba Mere Madani Ka  Naat Lyrics

Leave a comment